Zindagi ne kaha mujhse,
zinda toh hai tu,
par kya jee raha hai?

Sapne ne kaha mujhse, WP_20140209_053
dekh toh liya mujhe,
par usse paane ke liye kuch kar raha hai?

Aarzoo ne kaha mujhse,
meri khwahish hai tujhe,
par kya mujhe paane ki hayesiyat hai?

Sabne kuch na kuch kaha,
par kya aaj kisi mein
sunne ki taaqat hai?

Waqt thamta nahi,
par usse dauda rahe hum hai,
Pyaar mein koi shart nahi hoti,
par uspe armaano ka bojh daal rahe hum hai.